“Mujhay jeena ki umeed Dobara dey do”
Mujhay jeena ki umeed Dobara dey do….
Meri doobti kashti ko kinara dey do..
Main dard k sahil pe tanha khara hoon,
phir aa k apni baanhon ka sahara dey do…
tera daman to bhara hai sitaron se,,
mujhay sadqay main aik sitara day do…
mere anghan main aaj andhera hai bohat,,
meri dehleez ko phir apna nazara dey do..
Categories: "latest urdu shayari" Tags: urdu poem, urdu poetry, urdu shayari
“Mohabbat mar nahi sakti Mohabbat Zinda rehti hai”
Mohabbat mar nahi sakti
Mohabbat Zinda rehti hai
Mohabbat kam nahi hoti
Mohabbat barhti rehti hai
Magar itna yaqeen to ho
Ke tum ko bhi Mohabbat hai
Magar mujh ko yaqeen hai yeh
Ke mujh ko to Mohabbat hai
Agar tum ko nahi to kya
Tumhain bhi ho hi jaye gi
number of view: 1596Categories: "latest urdu shayari", Pyaar | Love | Mohabbat Tags: hindi shari, mohababt mar nhi sakti, mohabbat har jati hai, urdu poem, urdu sad shayari, urdu shari, urdu shayari, wafa ka dard
“Kuch Door Humarey Sath Chalo”
Kuch Door Humarey Sath Chalo,
Hum Dil Ki Kahani Keh Dein Gey
Samjhey Na Jissey Tum Aankhon Sey
,Wo Baat Zubani Keh Dein Gey
Pholon Ki Tarhan Jab Hontoun Par
,Tabasum Bikhrey Gii
Dheerey Sey Tumharey Kanou Main,
Ek Baat Purani Keh Dein Gey
Izhar -e- Wafa Tum Kya Jano,
Iqrar -e- wafa Tum Kya Jano
Hum Zikar Karein Gey Gheyroun Ka,
Aur Apni Kahani Keh Dein Gey
Share kiya is ko hamaray Saath HUMA JEE nay
Categories: "latest urdu shayari" Tags: apni kahani keh dein, desi shayari, pyar, urdu poem, urdu roman shayari, urdu shayari
“Tu Aaina Hai Mujhko Tera Khayal Rakhna Hai”
Tu Aaina Hai Mujhko Tera Khayal Rakhna Hai………..
Kahin Tu Toot Na Jaiy Tujhay Sambhal Rakhna Hai….
Harr Ek Masley Ka Teray; Hal Nikaal Rakhna Hai…….
Zahanat Se Apni Tujhay Hairat Main Daal Rakhna Hai
Gar Jo Kabhi Tu Tark-e-Talluq Ki Baat Karay…………
Rok Kar Tujhay Kal Pe Taal Rakhna Hai………………
Categories: "latest urdu shayari", Sad Shayari Tags: dard shayari, sad poetry, tu aaina ha, urdu poem, urdu poetry, urdu shayari, urdu shero shayari, wafa ka dard
“mandir me dua or ye dargaahon ke sajde”

mandir me dua or ye dargaahon ke sajde
her kaam bas ik shaks ko paane ke liye hai
Categories: "latest urdu shayari", Dua Tags: hindi shari, urdu poem, urdu poetry, urdu shari, urdu shayari
“Urdu Shayari” “Kitni Azziyat Say Uss Ne Mujh Ko Bhulaaya Hoga”
Kitni Azziyat Say Uss Ne Mujh Ko Bhulaaya Hoga
Meri Yadoon Ne Ussay Khoob Rulaaya Hoga… See More
~~~~~~~~~ * ~~~~~~~~~* ~~~~~~~
Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chhalkee Hogi
Uss Ne Chehre Ko Baazuon Main Chupaaya Hoga
~~~~~~~~~ * ~~~~~~~~~* ~~~~~~~
Socha Ho Ga Uss Ne Din Main Kaee Baar Mujhay
Naam Hatheli Par Bhi Likh Likh Kay Mitaaya Hoga
~~~~~~~~~ * ~~~~~~~~~* ~~~~~~~
Jahan Uss Nay Mera Zikkr Suna Hoga Kisi Say
Uss Ki Aankhon Main Koi Aansoo Tou Aaya Hoga
~~~~~~~~~ * ~~~~~~~~~* ~~~~~~~
Raat Ke Bheetnay Tak Neend Na Aai Hogi Tujhay
Tunay Takkiye Ko Bhi Seenay Se Lagaaya Hoga
~~~~~~~~~ * ~~~~~~~~~* ~~~~~~~
Hokay Nidhaal Meri Yadoon Se Tunay Jaana
Meri Tasveer Pe Sar Apna Tikaaya Hoga
~~~~~~~~~ * ~~~~~~~~~* ~~~~~~~
Poocha Hoga Jo Kisi Ne Tere Halaat Ka Sabba
Tunay Baaton Main Khoob Uss Se Chupaaya Hoga
Categories: "latest urdu shayari" Tags: aankhon, aankhon mein aansoo, aansoo, hindi shari, urdu poem, urdu shari, urdu shayari, wafa ka dard










