qissa abhi hijab se aage nahin barha
main aap,wo janab se aage nahin barha
muddat hui kitab e mohabbat shuroo kiye
laikin main pehle baab se aage nahin barha
lambhi musaftain hain magar is sawaar ka
paaon abhi rakaab se aage nahin barha
tool e kalaam k liye main ne kia sawal
wo mukhtasar jawab se aage nahin barha
rukhsar ka pata nahin , ankhain to khoob hain
deedar abhi naqaab se aage nahin barha
wo lazzat e gunah se mehroom reh gaya
jo khwahish e sawab se aage nahin barha
Hamari dosri website bhi zaror check karin www.lovemasti.com

Assala Mu Alaikum Dosto hamaray FACEBOOK GROUP par Visit Zaroor karin













Recent Comments