“Urdu Designed Poetry” “Urdu Shayari in Urdu” “Urdu Gazal”
Assala Mu Alaikum
Friends
yeh lain kuch Urdu Shayari sirf wafakadard.com ke liye designed ki hoie Poetry
apnay comments zaroor dain
“Wasi Shah Poetry” “Bashir Badr Gazal” “Rabia Basri Shayari”
number of view: 449“Tumhe Dekha Nahin ,, Jaana Nahi”
Tumhay Daikha Nahi ,, Jana Nahi,,
Phir Bhi Lagta Hy,,
Qabeela Aik Hy Apna……
Wohi Dard-E-Judai Hy,,
Wohi Bheegi Hoi Palkain,,
Naseeba Aik Hy Apna…….
Kisi Sy Kuch Nahi Kahna,,
Koi Shikwaa Nahi Krna,,
Qareena Aik Hy Apna……
Kisi Ki Yaad Sy,,
Wirana-e-Dil Jagmaga Lena,,
Khazeena Aik Hy Apna……
Yaqeen Ki Aakhri Hud Tak
Milan Ki Khushgumani Hy
Nateeja Aik Hy Apna….!!!
posted by “Zariii”
number of view: 229“Pyaar kar ke jo wafa karte hain”
Pyaar kar ke jo wafa karte hain
Aise kam log mila karte hain
Kyun woh khud hum se nahin keh dete
Aur logon se gila karte hain
Hum se milne ko woh aajaye kabhi
Har ghadi yeh hi dua karte hain
Chahte hai unhe ji jaan se hum
Bas yahi ek khatt karte hain
Tum karam karo ya sitam karo hum gila hain karte
Khizaoon mein phool yakinan khila nahin karte
Mila do khak main khiyal rahe itna
Hum jaise log dubara mila nahin karte
“hamaaraa kyaa hai ke ham to chiraaG-e-shab kii tarah”
hamaaraa kyaa hai ke ham to chiraaG-e-shab kii tarah
agar jale bhii to bas itanii raushanii hogii
ke jaise tund andhero.n kii raah me.n juganuu
zaraa sii der ko chamake chamak ke kho jaaye
phir is ke baad kisii ko na kuchh sujhaa_ii de
na shab kaTe na suraaG-e-sahar dikhaa_ii de
hamaaraa kyaa hai ke ham to pas-e-Gubaar-e-safar
agar chale bhii to bas itanii raah tay hogii
ke tez havaao.n kii zard maa_il naqsh-e-qadam
zaraa sii der ko ubhare ubhar ke mit jaaye
phir us ke baad na raastaa na rah_guzar mile
hadd-e-nigaah talak dasht-e-bekinar mile
hamaarii simt na dekho ke ko_ii der me.n ham
qabiilaa-e-dil-o-jaan judaa hone vaale hai.n
base basaaye huye shahar apanii aa.Nkho.n ke
misal-e-khaanaa-e-viiraan uja.Dane vaale hai.n
havaa kaa shor ye hii hai to dekhate rahanaa
hamaarii umar ke Kheme.n ukha.Dane vaale hai.n
posted by “Samia Jee”
number of view: 185“Aankhon main aansuon ki Haqeeqat na poochta”
Aankhon main aansuon ki Haqeeqat na poochta
Aye kaash mujh sy wo meri Halat na poochta
Ab maine us sy Usko talab ker liya to kya
Wo bhi to mujh sy meri Zarurat na poochta
Wo mujh ko aazmata kisi or tarhan sy
Kitni hy mujhko us sy Mohabbat na poochta
Faraz ager wo jaan jata dil k muamlay
Tujh sy kabhi bhi Waja-e-Mohabbat na poochta
“Ager-cha Bazam Main Dard -e- Aashna Bhi Kehta Hai”
Ager-cha Bazam Main Dard -e- Aashna Bhi Kehta Hai
Koii Na Ho Tu Mujhay Wo Bura Bhi Kehta Hai
Meray KHUDA Usay Jhutlao’on Kis Bahanay Say
Wo Ajnabi Tu Mujhay Aashna Bhi Kehta Hai
Main Us Kay Doglay-Pan Say Bohat He Aajiz Hoon
Wo Mujh Say Pyaar Ko Apni Khata Bhi Kehta Hai
Howa Hai Apna Taaruf Ak Esay Mousam Say
Jo Aandhiyon Ko… Kharaam -e- Saba Bhi Kehta Hai





































