WafaKaDard Urdu Shayari Group on Facebook

Muddat se jis ke waaste Dil be qaraar th

February 1st, 2010 Author: WafaKaDard

Muddat se jis ke waaste Dil be qaraar tha
Woh laut kar na aaya magar intezaar tha
Jo humsafar tha chorr gaya raah main mujhe
Main phans gaya bhanwar main woh darya ke paar tha
Manzil kareeb aayi to tum door hogaye
Itna to tum batao ke yeh kaisa Pyaar tha
Chilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyan

number of view: 88

faqeeh-e-shehr ke majlis say kuch bhala na hua

February 1st, 2010 Author: WafaKaDard

faqeeh-e-shehr ke majlis say kuch bhala na hua
k uss say mill kar mizaaj aur kafiraana houa

abhi abhi wo mila tha hazar batein kein
abhi abhi wo gia hay magar zamana hua

wo raat bhool chuko wo sukhn na dohraao
wo raat khuwab hoey wo sukhn afsna hua

kuch ab kay esay karday firaq ka mausam
teri he bat nahi , mein bhi kia say kia na hua

Read the rest of this entry »

number of view: 100

HANSATA THA MUJH KU TU RULA BHI DETA THA

February 1st, 2010 Author: WafaKaDard

HANSATA THA MUJH KU TU RULA BHI DETA THA
KAR KE WOH MUJH SE AKSAR WADDAY BHULA BHI DETA THA
BEWAAFA THA BHUHAT MAGAR
ACHA LAGTA THA DIL KU
KABHI KABHAR BATEIN MUHABAT KI SUNA BHI DETA THA
THAM LETA THA HATH MERAKABHE YUNHI KHUD
KABHI HATH APNA MERE HATH SE CHOURA BHI LETA THA
KBHI BEWAQT HI CHALA AATA THA MILNE KU
KABHI QEEMTI PAL DOSIT KA GNAWA BHI DETA THA
AJEEB DHOOP CHAAON SA MIZAAJ THAA US KAA
MOATABIR BHI KARTA THAR OR NAZRON SE GIRA BHI DETA THA

number of view: 317

Aisa nahi k tujh se muhabat nahi hamain

February 1st, 2010 Author: WafaKaDard

Aisa nahi k tujh se muhabat nahi hamain
Ghum roz roz sehny ki aadat nahi hamain
har bar tere samne sar ko jhoka liya
Aur phir bhi dekh tujh se shikayat nahi hamain
Tu aitebar kr k tujhe chahate hain hum
Tere siwa kisi ki bhi chahat nahi hamain
Ham jante hain tum tanha nahi hamary bin
Auron se pochne ki zarorat nahi hamain
Kese rahen gay bin tere ab baat maan lay
Tere bagair rahne ki ab adat nahi hamain

number of view: 61

jiss jagha teri jafa ki inteha ho jayegi

February 1st, 2010 Author: WafaKaDard

jiss jagha teri jafa ki inteha ho jayegi
sabr ki mere wahan se ibteda ho jayegi

kia khabar thi zindagi ab to dua ho jayegi
unkey paney ki tamanna ilteja ho jayegi

ye kahan maloom tha qasd e safar k sath hi
tum badal jaogey dunya be wafa ho jayegi

number of view: 51

“Ab Kay tajdeed wafa ka nahi imkan jana” “Faraz”

February 1st, 2010 Author: WafaKaDard

Ab Kay tajdeed wafa ka nahi imkan jana
yaad tuj ko kiya dilaye tera paiman jana
Yun hi moosam ki aada dekh kay yaad aya hay
kis kader jal badal jathay hay insan jana
Zindagi teri atha the so teray nam ki hay
Hum nay jaisay be basar ki tera ahsan jana
Dil yeh kehtha kay sahid hu fasurda tu bi
Dil ki kiya bath karay dil tu hay nada jana
Awal awal ki muhabat kay nashay yaad tu kar
Bay piye bi tera chehra tha gulistan jana
Akhir akhir tu yeh alam hay kay ab hoosh nahi
Rage meena sulag utti kay rage jan jana
Mudatoo say yehi alam kay na tawaqqoo na umeed
Dil pukhare he chala jatha hay jana jana
Ab kay kuch aise sajee mehfil yaran jana
Serba zano hay koi sarba gareeban jana
Her koi apanay he awaz say kanp ott tha hay
Her ko apnay hi saye say harasan jana
Jis ko dekho wahi zanjeer wafa laghtha hay
sher ka sher hay dahile zandan jana
Hum bi kiya sada thay hum nay bi samaj rakha tha
Ghame Dawran say juda hay Ghame jana jana
Hum kay rooti huwai ruth ko bi mana lethay thay
Hum nay dekha hi nahi tha moosame hijran jana
Hoosh aya tu sabi khwab thay raiza raiza
Jisay urthay huway awraqe pareshan jana
Ab Kay tajdeed wafa ka nahi imkan jana
yaad tuj ko kiya dilaye tera paiman jana

Faraz

number of view: 129
Visit our Forum
Polls

Do u Believe in "NET LOVE"? ? ? (plz cast ur vote)

View Results

Loading ... Loading ...
Archives
321729