Meray katil say kaho?? ab bas

Meray katil say kaho??

ab bas…

ab bas b karo??

bay chein hawayon si bekhar

gaye hon mein,

apno say jesay bechar gaye

hon mein….

mujay is rah pay lany waly say kaho…

ab bas…

ab bas b karo???

ajab do-rahy pay aa kahri hovi

Continue reading Meray katil say kaho?? ab bas

number of view: 71

Udaas Shamain, Ujaar Rstay Kabhi Bulain Tu Lout Aana

Udaas Shamain, Ujaar Rstay Kabhi Bulain Tu Lout Aana…
Kisi Ki Ankhon Main Ratjagon K Azaab Aain Tu Lout Aana…
Abhi Nai Wadion, Naey Manzaron Main Reh Lo Mairi Jaan…
Ye Saray Ik Ik Kar K Jab Tumhain Chor Jain Tu Lout Aana…
Jo Sham Dhaltay Hi Apni Apni Panah-gahon Ko Lout-tay Hain…
Agar Wo Panchi Kabhi Koi Dastan Sunain Tu Lout Aana…
Naey Zamanon Ka Karb Urhay Zaef Lamhay Nidhal Yadain…
Tumharay Khuwabon K Band Kamron Main Lout Aain Tu Lout Aana…
Main Roz Yun Hi Hawa Pay Likh Likh K Us Ki Janib Ye Bhaijta Hon…
K Achay Mausum Agar Paharon Per Muskurain Tu Lout Aana…
Agar Andhairon Main Chor Kar Tum Ko Bhool Jain Tumharay Sathi…
Aur Apni Khatir Hi Apnay Diay Jalain Tu Lout Aana…
Meri Wo Batain Tu Jin Pay BAy-Ikhtiar Hansta Tha Khil Khila K…
BICHARNAY WALAY MAIRI WO BATAIN KABHI RULAIN TU LOUT AANA…

FARHAT ABBAS SHAH

number of view: 74

udaas karna udaas hona

udaas karna udaas hona !
na door rehna na paas hona !
woh aahtoon ka sunai dena !
aur Mujhko Tera Qyaas hona !
Aacha lagta ha tujh se milna !
Mujhko tera libbas hona !
main ankhhon ankhoon main sab kahun gi !
tum kuch Ishara Shanas Hona !
meri yaadoon se batein karna !
Jab Kabhee TUM uddas HONA !!!!!!!!!

number of view: 29

Khuf tumhari rafaqat ka aur mein

Khuf tumhari rafaqat ka
aur mein,
kya kahoon??
kahein koi khwaab..
barbadi k asaar na day
jaye….
ise ley khoof say ankhein
kholi rakhti hon…
tumhari tamana say…
darti hon…

number of view: 43

apane maazii ke tassavurr se hiraasaa huun main

apane maazii ke tassavurr se hiraasaa huun main,
apane guzare huay ayyam se nafarat hai mujhey,
apanii bekaar tamannaon pe sharmindaa huuN main,
apanii besud ummiidoon pe nidaamat hai mujhe,
mere maazii ko andhere mein dabaa rahaney do ,
meraa maazii merii zillat ke sivaa kuchh bhii nahii,
merii ummiidoon kaa haasil merii kaavish kaa silaa,
ek benaam aziiyyat ke sivaa kuchh bhii nahii,
kitanii bekaar ummiidoon kaa sahaaraa lekar ,
main ne aiwaan sajaaye they kisii kii Khaatir
kitanii berabt tamannaaon ke maabham Khaake
apane Khwaabon meim basaaye the kisii kii Khaatir,
mujhase ab merii mohabbat ke fasaane na puuchho ,
mujhako kah ney do ke main ne unhein chaahaa hii nahii,
aur vo mast nigaaheen jo mujhe bhuul gaiin ,
main ne un mast nigaahoon ko saraahaa hii nahii,
mujhako kah ney do keh main aaj bhii jii sakataa huun,
ishq naakaam sahii zindagii naakaam nahii ,
unako apanaane kii Khvaahish unhey paane kii talab,
shauq bekaar sahii, sai-Gam anjaam nahii ,
wohi gesuu wohi nazar wohi aarid wohi jism,
main jo chaahuun kahein mujhe aur bhii mil sakate hain,
vo kaNval jinako kabhii unn ke liye khilanaa thaa,
unakii nazaron se bahut duur bhii khil sakate hai

number of view: 22

Ik Akailay Tanha Badal Ki Tarha

ZINDA

Ik Akailay Tanha Badal Ki Tarha…
Tumharay In Khayalon Per Say…
Guzar Kar Jana Hai Mujhey…
AndhaKaar Ban Kar Teray Suraj Per…
Apni Perchai Ko Barhnay Na Dia Kabhi…
Na Hi Barsat Ki Bondain Ban Kar…
Teri Khushion Per Barsa Kabhi…
Suraj Ko Apni Banhon Main Lapaitnay Walay…
Ya Pyasi Dharti Pay Barasnay Walay…
Kal Yahi Kafi Hoga Mairay Liay…
K Teray Aasman Say Guzar Kar…
Teray Deedar K Doo Pal Paon Main…
Per Ye B Jaan Lay Jan-e-Wafa…
Tera Naam Mairay Liay Hamaisha…
IK GHAZAL BAN KAR ZINDA RAHAYGA…

number of view: 31
376140