“Subha nahin hogi kabhi dil mein bitha le tu bhi”
Thursday, March 11th, 2010Subha nahin hogi kabhi dil mein bitha le tu bhi,
Khud ko barbad na kar jaagne walay tu bhi,
Main kahan tak teri yaadon ke ta’aqub mein rahun?
Main jo gum hun tou kabhi mera patta le tu bhi,
Ek shabistan-e-Rafaqat ho zaruri tou nahin,
Dasht-e-tanhayi mein aa jashan manna le tu bhi,
Lafz khud apne maa’ani ko talab karta hai,
Dil ki diwar pe ek naqsh bana le tu bhi,









