“Ab Kay tajdeed wafa ka nahi imkan jana” “Faraz”
Ab Kay tajdeed wafa ka nahi imkan jana
yaad tuj ko kiya dilaye tera paiman jana
Yun hi moosam ki aada dekh kay yaad aya hay
kis kader jal badal jathay hay insan jana
Zindagi teri atha the so teray nam ki hay
Hum nay jaisay be basar ki tera ahsan jana
Dil yeh kehtha kay sahid hu fasurda tu bi
Dil ki kiya bath karay dil tu hay nada jana
Awal awal ki muhabat kay nashay yaad tu kar
Bay piye bi tera chehra tha gulistan jana
Akhir akhir tu yeh alam hay kay ab hoosh nahi
Rage meena sulag utti kay rage jan jana
Mudatoo say yehi alam kay na tawaqqoo na umeed
Dil pukhare he chala jatha hay jana jana
Ab kay kuch aise sajee mehfil yaran jana
Serba zano hay koi sarba gareeban jana
Her koi apanay he awaz say kanp ott tha hay
Her ko apnay hi saye say harasan jana
Jis ko dekho wahi zanjeer wafa laghtha hay
sher ka sher hay dahile zandan jana
Hum bi kiya sada thay hum nay bi samaj rakha tha
Ghame Dawran say juda hay Ghame jana jana
Hum kay rooti huwai ruth ko bi mana lethay thay
Hum nay dekha hi nahi tha moosame hijran jana
Hoosh aya tu sabi khwab thay raiza raiza
Jisay urthay huway awraqe pareshan jana
Ab Kay tajdeed wafa ka nahi imkan jana
yaad tuj ko kiya dilaye tera paiman jana
Faraz
Hamari dosri website bhi zaror check karin 
Assala Mu Alaikum Dosto hamaray FACEBOOK GROUP par Visit Zaroor karin











No Comments