Meri Aankho Per Marta Tha
Wednesday, July 1st, 2009Meri Aankho Per Marta Tha…
Meri Bataon Per Hansta Rehta Tha..
Najany Shakhs Tha Kaisa…
Mujhay Khonay Say Darta Tha…
Mujhay Jab Bhi Wo Milta Tha..
Yahi Har Bar Kehta Tha…
Suno……..
Agar Main Bhool Jaon To
Agar Main Rooth Jaon To
Kabhi Wapis Na Aaon To
Bhula Pao Kay Ya Sab Kuch
Yon Hee Hanstay Rahoo Gay Kya??
Yon Hee Sajtay Rahoo Gay Kya??










